Sana shadi kay baad ki muhabbat pay yakin rakhti thie. Wo apni doston ya cousins ko apnay apnay lovers say baat kartay daykhti to usay chir hoti. Sana kay liyah shadi say pahlay ki muhabbat aik dhoka thei jhoot aur waqt ka ziyan bas.
Sana ki family kafi mukhtasar the mama, papa, sister, sana. Sister ki shadi ko 2 saal ho gae thay aur who apnay ghar main bohat khush thin. Sana 2nd year main parhti thi. Us kay mama papa ko sana kay liyeh ab aik achey larkay ki talash thi.
Aik din sana jab college say ghar aai to us nay ghar main ghair mamuli chahal pahal daykhi. Jesay koi khaas mahman aanay wala hai. Aur pher sana ko us ki mama nay bataya kay sana ko dekhnay kay liyah larkay walay aur khud larka bhi araha hai. Sana ye sun kay khush ho gai aur pher wo waqt bhi agaya jab larkay walay agaye. Sana ki mama papa ko larka (arsalan) bohat pasand aaya. Unho nay bhi sana ko pasand kar liya. Aur chat mangni aur pat biyah wali baat hogai. Sana arsalan kay ghar us ki biwi ban kay agai. Arsalan nay apnay aur sana kay rehnay kay liyah alag ghar liya tha takay wahan koi un ko disturb na karay.
Tamam rasmon say farig ho kay sab apnay apnay gharo ko rawana ho gae. Sana dulhan bani apnay room main apnay dulhay ka intizar kar rahi thi us nay hazaro khuwab ankho main sajai thay. Aur phir arsalan room main aageya. Arsalan sana kay pas baitha. sana nay apna sar mazid jhoka liya. Arsalan nay sana ka sar uthaya aur bola "jan aaj ye pal bohat qimti aur khubsorat hain. Hum in ko baton main zaya nahi kartay. Batain to subha ho jain gi. Aao hum apni nai zindagi ka aghaz bepanah pyar say karain."
Sana ko arsalan kay mun say ajeeb si boo aai. Sana nay nazrain utha kay daykha to arsalan ki ankhain laal aur lahja nashay main dhoot tha. Sana ko aik lamha bhi na laga ye samajhnay main kay arsalan nay sharab pi hoi hai aur wo mukammal nashay main hai. Sana nay arsalan ka hath apnay chahray say hata diya. Aur sambhal kay baith gai.
Arsalan ko sana ka hath hatana bura laga aur us nay sana ka hath pakar kay sana ko aik jhatkay say apni taraf khincha sana totay howy pattay ki tarhan us kay bazo main agiri. Arsalan nay apni bahain sana ki kamar kay gird hail kar din. Sana puri tarhan arsalan kay akhtiyar main thi. Arsalan bola "jan tum mairi ho sar say paon tak mairi. Main jaisa bhi houn tum ko mairay paas aana hoga chahy tum chaho ya na chaho." Arsalan nay sana ko bed pay gira diya aur us ka dopatta khainch kay utar diya. Bed kay sarhanay rakha lamp of kardiya.
Her suhagan kay dosray din ka aghaz khushyon aur muskurahatoun say hota hai mager sana ki subho ka aghaz dukh aur taklif say howa. Arsalan insan kay roop main janwar tha aur is ka pata sana ko aik raat main chal gaya tha.
Pher din guzartay rahay arsalan sharab pita tha aur larkiyn kay sath shamain gizarta tha. usay sana ki koi fikar na thi bs usay sana apni bhook mitanay aur hawis pori karnay kay liye chaheyeh thi.
Sana sab kuch bardasht kar rahi thi chup chap. Ager sana arsalan say alag honay ka faisla karti to usay apnay mama papa ka khayal ajata us kay mama papa khandan main badnaam ho jatay.
Aik din to had ho gai arsalan raat ko dair say ghar aaya aur 3 dost bhi sath thay. Unho nay ghar atay hi shoor sharaba shuro kar diya gana bajana dansce sab kuch. Sana namaz parh rahi thi. Jab namaz say frig hoi to arsalan aaya aur sana ko tayyar hokay baher aanay ko kaha. Sana arsalan kay janay kay baad tayyar hoi. Jab baher aai to usay arsalan ki awaz sunai di wo apnay dosto ko keh raha tha kay "yaar sana qayamat hai sar say pair tk us kay sath kch bhi karnay main bara maza ata hai. Aati ho gi tum khud dakh layna kiya jisam hai kiya jawani hai....." is say pahlay kay arsalan kay mun say kuch aur nikalta aik zoor dar thappar us kay mun pay para. Arsalan nay mun pay hath rakh kay nazar uthai to daykha samnay sana khari thi. Sana ka chahra ghussy say laal ho raha tha. Arsalan nay sana ka hath pakra mager ye kiya sana ka hath aik baar aur utha aur arsalan kay dosray gaal pay nishan choor gaya. Sana ghussy say gorrai "kaminay insan apni biwi ko doston kay samnay paish karta hai galti hoi kay main tairi her baat khamoshi say bardasht karti gai ager tairi maa behan yahan hotin to apnay doston kay samnay un kay jismo ki bhi aisay hi tariff karta? Tujh jeysay insan ko tawaifo say shadi karni chaheyeh hum jaisay sharifo say nahi. Main aik pal bhi ab tairay sath nahi rah sakti. Main ja rahi hun. Tallaq kay papers bhijwadena warna mujhay tujh jeysay insan say jan churanay kay aur bhi tarikay aatay hain. Tu nay kha liya mujh ko noch dala tu insan nahi gidh hai." phir sana arsalan kay dosto say boli "tum log zara apni behno ko lakay do isay tum jesay jeson kay liyah kiya haram kiya halal."
Sana usi waqt chali gai. Sana nay apnay ghar walo ko sab batadiya unho nay bhi arsalan ko bura kaha aur sana ko tasalli di. phir 3 din baad sana ko talaq nama mil gaya. Sana say milnay us ki dost aai to dost nay sana ko kaha "sana main nay shadi say pahlay muhabbat ki aur main khush na reh saki aur tum nay shadi kay baad muhabbat ka khuwab daykha mager afsos tum bhi khush na rah sakin. Baat pehlay ya baad ki muhabbat ki nahi hai baat qismat ki hai Shayed hamari qismat main yehi tha. Khuwab daykhna achi baat hai mager khuwab puray hon zarori nahi. Aabhi puri zingadi pari hai kisi na kisi ki jagah koi na koi lay hi layta hai. Hamen dua karni chahye kay ab jo ho hamaray liye acha ho.
Sana nay sar hiladiya. Aur khirki kay paas aakay khari ho gai takay bahar say aati hawa ko apnay ander utar kay andar ki jalan kam kar sakay.

No comments:
Post a Comment