Maira naam sana hai. Main aaj 55 baras ki hogai hon. Mairy 4 baity hain aur wo bhi bal bacho walay hain. Din bhar kay kamo say farig hoky main raat jab room main aai to dil nay mazi kay daricho ko kholna chaha… Magr dimag ny mazi ky drwazay band rakhny pay israr kia. Akher aik jang ky bad dil jet gaya . Main bed say uth ky bahir taris pay aagai aur aik chair pay bhaith gai. Ankh band hoi to mazi aik film ki tarhan samnay aagaya… "Mujhy hamaisha sy neli ankhain pasand thin. Shayad is lye ky aik bar main ny khwab main neli ankhain daykhe to dadi amma nay btaya ky mairi shadi jis larky sy ho ge us ki ankhain neli honge. Mujhy in neli ankho sy ishq hogaya. Main Allah sy dua krti ky mujhy neli ankho ka sath hamaisha ky lye dayna. Aur phr maira aik jagah sy rishta aya. wo log achy the parhy likhay aur larky ki ankh bhi neli the... Mairi to khushi ki inteha na the. Mama papa dadi sb khush thy. Phr mairi shadi hogai. Shadi ki rat jb rom main main aur maira shohar (salman) thy aur salman mairi tarifo ky pul bandh raha tha us waqt main ny hemmat kr ky apni nazrain uthain aur hamari nazrain milin aur phr mairi ankh jhapakma bhol gai... Salman ki ankhain neli nai blky kali thin. Ye kaisy ho sakta hai main ny socha. Mama papa khud main ny daykha tha salman ki ankho ko. khair salman mairi paryshani samajh gaye aur muskura ky boly" sana mairi ankhain kali hain in ko nela main ny srf tmhain pany ky lye kia tga. Main tm ko boht chahta hon. Aur tm ko main hamaisha khush rakhon ga. Aur yahe howa salman ny mujhy boht khushyan din ky main neli ankhain bhol gai. Hum boht khush thy. Phr Allah ny hamain 4 betay diye aur khuda ki kudrat un ki ankhain neli hain. Phr salman ka intekal hogaya aur mairy beto ny maira sath dia . Aj mujhy apni dua yad ai ky ya allah mujhy neli ankhon ka sath hamaisha ky lye dayna. Aur aj aisa hai.
Monday, April 25, 2011
Wednesday, April 20, 2011
MY CITY KARACHI
Yeh maira shaher karachi hai. Jahan mout ka raj hai. Jahan namalom afrad roz jany kitny masom logon ka khon bahaty hain. Jahan lut mar ka bazar garam hai.... Ye maira shehr karachi hai Yahan na rahgir mahfoz hain na gharon main rahny waly. Rahgir raho main aur gharon main rahny walay apny gharo main lut rahy hain. Din ko khon ki holi khaili jati hai to rat ko rahzan apna kam krty hain.... Subha apny apny kamon par jany walo ko ye bhi nai pata hota ky woh sham ko ghar wapas aa bhi pain gy ya nahi. Apny bacho, biwi, maa, baap ko phr daykh bi pain gy ky nahi…. Aur un main sy aksar sham ko ghar wapas is tarhan jaty hain ky safaid kafan main ambulnce un ko chorti hai. Kuch to apny bacho sy wada kr gaye hoty hain ky ofice sy wapsi py un ky lye chezain lain gy. Mgr wo nai aa paty aur un ky pyaro ka intezar tawel tar ho jata hai jo kabi khatm nai hota.... Ye maira shaher karachi hai. Yahan na munsif hai na muhafiz. Yahan police ky samny katal hojata hai. Police khud ko chupati rahjati hai aur bad main maqtol ky wariso ko tang krti hai. Sarkon py masom logo ka khon bahany waly insaniyat sy khali hain. Un ky sinay main dil nai hota ya paisa sb kuch bhula dayta hai.? Akher ye kon log hain? In ka talluk kis tanzem sy hai? Akhir in zalimo ko kabo kio nahi kia jata ya waqt parny pay sab in qatelo sy apna kam niklwaty hain…. Kabi koi siyasi dushmani ki bhaint charta hai to koi yun he namalom simt sy aany wali goli ka nishana banta hai. Karachi ki woh kon si sarak hai jo khon sy range na gai ho? Agr is khon kharaby main kisi siyasi jamat ka hath nai to itna kuch hojany py sab khamosh kyun hain? Kahin ye fasad krwany walay wo paoday to nai jin ko in hi siyasi jamato ny pani dia ho. Isi lye tamam jamatain chup hain. Jin ky ghar ka charagh bujha ho un ky ghar ki tariki ka aalam ye siyasi dako kia jany. Ye dhokybaz, faraibe, moka parast siyasat daan sirf mulak ko lotna janty hain. Ye na mulak ky sath mukhlis hain na qoam ky sath…. Hamain aman chahye apno ky khon ki hefazat ki zamanat chahye. Apny bacho ka roshan mustakbil chahye.humain aman chahye.... Taky ye kahty howy hamara sar sharam sy na jhoky ky ye maira shaher karachi hai....
Subscribe to:
Posts (Atom)