Yeh maira shaher karachi hai. Jahan mout ka raj hai. Jahan namalom afrad roz jany kitny masom logon ka khon bahaty hain. Jahan lut mar ka bazar garam hai.... Ye maira shehr karachi hai Yahan na rahgir mahfoz hain na gharon main rahny waly. Rahgir raho main aur gharon main rahny walay apny gharo main lut rahy hain. Din ko khon ki holi khaili jati hai to rat ko rahzan apna kam krty hain.... Subha apny apny kamon par jany walo ko ye bhi nai pata hota ky woh sham ko ghar wapas aa bhi pain gy ya nahi. Apny bacho, biwi, maa, baap ko phr daykh bi pain gy ky nahi…. Aur un main sy aksar sham ko ghar wapas is tarhan jaty hain ky safaid kafan main ambulnce un ko chorti hai. Kuch to apny bacho sy wada kr gaye hoty hain ky ofice sy wapsi py un ky lye chezain lain gy. Mgr wo nai aa paty aur un ky pyaro ka intezar tawel tar ho jata hai jo kabi khatm nai hota.... Ye maira shaher karachi hai. Yahan na munsif hai na muhafiz. Yahan police ky samny katal hojata hai. Police khud ko chupati rahjati hai aur bad main maqtol ky wariso ko tang krti hai. Sarkon py masom logo ka khon bahany waly insaniyat sy khali hain. Un ky sinay main dil nai hota ya paisa sb kuch bhula dayta hai.? Akher ye kon log hain? In ka talluk kis tanzem sy hai? Akhir in zalimo ko kabo kio nahi kia jata ya waqt parny pay sab in qatelo sy apna kam niklwaty hain…. Kabi koi siyasi dushmani ki bhaint charta hai to koi yun he namalom simt sy aany wali goli ka nishana banta hai. Karachi ki woh kon si sarak hai jo khon sy range na gai ho? Agr is khon kharaby main kisi siyasi jamat ka hath nai to itna kuch hojany py sab khamosh kyun hain? Kahin ye fasad krwany walay wo paoday to nai jin ko in hi siyasi jamato ny pani dia ho. Isi lye tamam jamatain chup hain. Jin ky ghar ka charagh bujha ho un ky ghar ki tariki ka aalam ye siyasi dako kia jany. Ye dhokybaz, faraibe, moka parast siyasat daan sirf mulak ko lotna janty hain. Ye na mulak ky sath mukhlis hain na qoam ky sath…. Hamain aman chahye apno ky khon ki hefazat ki zamanat chahye. Apny bacho ka roshan mustakbil chahye.humain aman chahye.... Taky ye kahty howy hamara sar sharam sy na jhoky ky ye maira shaher karachi hai....
No comments:
Post a Comment