Uzair samandar kay kinaray khara soch raha tha kay “ye samandar ka zarf bhi kitna wasi hai. kiya kuch apnay andar samait kay bhi kitna pursukon hai aur aik main houn zara sa bhi dukh khud main nahi chupa sakta”
Uzair ka dimagh mazi ki yadoun main ulajh gaya. (Uzair ki mama ka intekal usi waqt hogaya tha jab Uzair dunya main aya. Aur mama kay baad papa nay us ko pala. Uzair say bari aik bahan thi Sadaf. Papa nay kabhi apnay 2no bachoun ko maa ki kami na mahsos honay di. Sadaf aur Uzair ko apnay papa pay bara ghoror tha. Isi tarhan din guzray Sadaf 9th aur Uzair 7th class main pohanch gay. In kay papa Arman sahib ko apnay bachoun say bohat muhabbat the yahi wajhay the kay unho nay dosri shadi na ki.
Phir arman sahib kay khandan main kisi ki shadi the to Arman sahib bachoun kay sath shadi main sharik howay. Wahin aik khatoon nay Arman sahib ko pasand karliya aur Kisi bahanay say un ka number bhi lay liya. Phir to rooz wo khatoon Arman sahib ko phone kartin aur Arman sahib un ko bahana bana kay khuda hafiz kah daytay. Mager akhir kab tak wo mard thay aur un kay sinay main bhi dil tha. Akhir kab tak khud ko roktay aur apni jazbat pay kabo rakhtay wo bhi un say baat karnay lagay. Aur yahi baat agay chal kay muhabbat main badal gai. Un khatoon ka naam Shaziya tha aur un ko shaaz kahtay thay. Shaaz nay jab daykha kay Arman sahib apnay bachoun ki wajhay say un ko zara door rakhtay hain to Shaaz nay un say un kay bachoun kay baray main baatain kin aur fikarmandi zaher ki kay maa kay bina bachoun ka kiya hoga, Arman sahib nay jab un ki bachoun main ye dilchasbi daykhi to khush ho gaye. Aur phir Arman sahib nay bachoun say Shaaz aunti kay baray main baat ki. Pahlay to Uzair aur Sadaf na manay mager phir papa ki tanhai ka khayal kar kay maan gaye. aur jald Arman sahib aur Shaaz aunti ki shadi ho gai aur wo Shaaz unti kay bajaye mama ban gain.
Shorun main to new mama nay dono bachoun pay bohat pyaar nichawar kiya. Mager phir 2 month baad wo apni asliyat dikhanay lagin.
Baat baat pay Uzair aur Sadaf ko dant tin aur aik do baar to Sadaf pay hath bhi uthadiya Mager Uzair aur Sadaf nay is baat ka zikar papa say na kiya kay un ko taklif hogi.
4 month baad papa ka accednt ho gaya. aur wo Allah ko pyaray ho gaye.
Papa kay intekal kay baad new mama nay to Uzair aur Sadaf pay zulam kay pahar toor diye. Sadaf ki zabardasti 40 saal kay admi say shadi kardi aur Uzair ko aik company main laga diya. Uzair bahan kay janay kay baad akhir kab tak zulam sahta us nay bhi ghar chor diya aur company ki taraf say milay ghar main agaya. Uzair nay bahan ki khabar bhi rakhi. Uzair ko pata chala kay Sadaf ka shohar us pay zulam karta hai to Uzair apni bahan ko lay aya. Kuch din baad Sadaf ko talaq kay kaghzat mil gaye. Dono bahan bhai aik dosray ka sahara banay pursokun zindagi guzarnay lagay. Din guzartay gaye aur 5 saal guzar gaye aaj Uzair kay paas sab kuch tha paisa ghar gari her cheez bs maa baap nathay.
Kisi kay zaryae in dono ko pata chala kay Shaaz mama ko un kay dosray shohar nay dolat kay liye maar diya aur sab kuch harap kar gaya. Uzair nay kaha “Shaaz ko us kay kiye ki saza mil gai. Bay shaq Allah kay ghar dair hai andhair nahi.”
Uzair abhi samandar ki mojoun ko dakh kay yahi soch raha tha kay achanak usay awaz sunai di “Allah kay naam pay day day baita”
Uzair ko ye sada wapas lay aai. Uzair nay chand rupay jaib say nikal kay baba ko diye aur khud apni nmanzil ki taraf chal para.
No comments:
Post a Comment