Wednesday, October 5, 2011

HUM KIYN MILAY


Aaj market main khasa rash tha. Lagta tha jaysay aaj sab free mil raha hai. Maham bhi apni matloba chezain lay kay akhri shop pay khari apni bari ka intezar karnay lagi. abhi kuch time hi guzra tha kay usay pichay say kisi ki awaz sunai di. kisi nay Maham ko naam lay kay pukara tha. Maham nay baysakta mur kay daykha aur awaz daynay wali khatoon ko pehchannay ki koshish main lag gai. Kay wo khatoon khud agay aain aur pucha “tum Maham ho na?”
Maham nay asbat main sar hilaya to wo khushi say “bolin Maham main Saima houn tumhari school friend” Maham nay ghoor say Saima ko daykha aur yaad anay pay boli “haan kuch yaad aya. Saima tum kitni badal gai ho waqt kuch chahroun ko kitna badal dayta hai.”
Saima nay sar hilatay howay kaha “haan kahin chahray badal dayta hai to kahin yaaddasht hana?” Maham muskurai aur Saima ka hath pakar kay shop say bahar agai. Phir dono aik hotel main gaye wahan sukun mila to Maham nay Saima say pucha “tum nay itnay saalon baad kaysay mujahay pahchana?” 
Saima muskurati hoi boli “main nay tum ko hamaisha yaad rakha tum mairi ekloti dost thi jo bahan jaysi thi aur hai. Waqt nay humhain door kiya tha mager mairay dil say tum ko nahi. Main jab say is shahar main aai houn tum ko her jagah dhoundti rahi. aur aaj daykho tum mil hi gain.” Saima ki baat sun kay Maham nay sar jhuka liya aur kuch dair baad jab sar utaya to us ki ankh main anso thay. Saima nay jo Maham ki ankh main anso daykhay to parayshan ho gai aur boli “arey dear ye kiya tum ro rahi ho? Mairi baat buri lagi?”
Maham nay anso saf kiya aur kaha “nahi Saima mairi ankh is liyah nam ho gain kay kabhi hum 2 jisam aik jaan thay mager waqt bohat bayraham hota hai sath chalnay waloun ki raakh bhi ura kay rakh dayta hai aur kabhi kabhi anjan logon ko sath la kay khara kar dayta hai. Khair tum ye batao itnay arsay main zindagi kaisi guzri?”
Saima nay apna khanay ka order diya aur phir apna hath apnay samnay phela kay apni lakiron ko daykhtay howay boli “bohat kuch houa zindagi main jan. jab mairay papa ki posting Lahore ho gai thi to hum sab bhi chalay gaye ye sab bohat achanak howa tha. Tum ko janay say pahlay batati to tum apni nani kay ghar rahnay gai hoi thi. So hum chalay gaye. Lahore jakay rahtay hum ko 1week howa tha kay papa ka accident ho gaya. Papa ki jan bachanay ki bohat koshish ki gai mager kuch faida na howa. Papa hum ko chor kay chalay gaye. Phir mama nay job ki aur hum bahan bhai ko parhaya. Main 2nd year main thi to maira aik rishta aya larka jis ka naam Arsalan tha who bohat acha tha her lihaz say so mama nay haan kar di. Aur jald mairi shadi hogai. Hum bohat khush tahy. Allah nay har asaish di the mager olad na thi 3 saal guzray to susral waloun nay batain sunana shorun kar din. Hum nay bohat ilaj karwaya mager Allah ko yahi manzor tha. Arsalan logon ki baat ko khater main nahi latay thay. Aur log batain bananay say baaz nahi aatay thay. akhir kab tak Arsalan ko bhi phir logon ki baton main sachai nazar anay lagi. Arsalan ko saas nay dosri shadi pay uksaya. Arsalan man gaye aur mujhay bataya. Main nay mana kiya to mujh say kaha gaya kay mard ko 4shadiyn ki ijazat hai wo karain gay. main nay sabar kiya aur phir kuch na booli. Mager main nay us orat ko nahi daykh jis say Arsalan shadi karnay ja rahay thay. Jaisay mairi shadi pay ghar main tayarin hoi thin waisay hi Arsalan ki dosri biwi kay liyah hoin. Main ye sab bardasht nahi kar sakti thi so ghar chor kay apni ammi kay ghar agai.  Arsalan nay dosri shadi ki aur mujhay bhool gaya. Main nay sab Allah pay chor diya. Kuch din baad mujhay talaq kay kaghzat milay. Arsalan nay mujhay hamaisha kay liyah apni zindagi say nikal diya tha. Phir Arsalan kay sath kiya howa nahi pata mager main nay khud ko nahi totnay diya aur apna business start kiya. Aj main aik kamiyab business women houn.”
Saima khamosh hoi to Maham boli “tum ko tallaq Arsalan nay apni dosri biwi kay kahnay pay di Saima kiyn kay wo apnay shohar pay kisi aur ka haq bardasht nahi kar sakti thi. Is baat ki saza us dosri orat ko mili aur Allah nay usay bhi olad ki naimat say mahroom rakha.  2 saal baad olad na honay pay jo kuch Arsalan ki pehli biwi ko sahna para tha wahi kuch dosri biwi ko bhi sahna para. aur usay bhi tallaq mil gai.”
Saima Maham ki baat sun kay saktay main agai aur beakhtiyar puch baithe “tum ko ye sab kaisay pata?”
“tum janti ho Arsalan ki dosri biwi ka naam?” Maham nay sawal kay jawab main bhi sawal kar diya.  Saima nay nafi main garden hilai to Maham boli “us larki ka naam hai Maham. haan main houn Arsalan ki dosri biwi. Tumhari khushyn ki qatel. Main nay apni hi jan say pyari dost ka ghar barbad kiya. Mager main ye baat nahi janti the. Arsalan aur us kay ghar walun nay ye baat hum say chupai kay Arsalan pahlay say shadi shuda hai. Ye sab mujhay baad main pata chala to main nay Arsalan ko kaha kay wo apni pahli biwi ko chor day. Aur us nay aisa hi kiya. Mujhay maaf kardo.”  Saima gum sum Maham ko daykhay gai aur phi khamoshi say uth kay bahar chali gai aur Mham main itni taqat na the kay usay rook sakti.

No comments:

Post a Comment